Monday 2 March 2015

JINNATO ME ACHCHE BURE JIN

Jinnato ka is duniya mein hona quran aur hadees se saabit hai. Allah ne duniya mein insano ke saath-saath'jinnato'ko bhi apni ibadat ke liye banaya hai. Insan ko mitti se aur'jinnat'ko aag se. Insan aur jinnat mein fark itna hai ki jinnat jo chahe roop badal sakta hai, aur insan jinnat ko nahi dekh sakta, jab tak ki jinnat khud ko dikhana na chahe. Inke saare tarikebhi insano jese hi hote hain, yaani shadi-byah, study, business, ladai sab hota. Jis tarah insano mein acche aur bure log hote hain, jinnato mein bhi hote hain, inme bhi hindu, muslim, sikh, isai yaani sab dharmo ko maanne wale hote hain, acche jinnat insano ko pareshan nahi karte jab tak ki insanunko jaan bhuj kar ya galti se pareshan na kar de.
Kuch shararti (kharab) jinnat insano ko pareshan karte hain, unke badan mein aa jaate hain, ya indirect pareshan karte hain.
Kai baar yeh bager kisi wajah ke sirf maze ke liye insano ko pareshan karte hain aur kai baar humse anjaane mein aisi koi galti ho jaati hai jisse yeh naraz ho jaate hain aur humko pareshan karte hain.Shaitan bhi jinnato mein se hi hai, farishto mein se nahi,


Aap ke masail or
sawalat ho to email kare
Amelqadri@gmail.com
DUA O KA TALABGAAR
Amel Qadri

5 comments:

  1. salmowalaikum Amel kadri bhai meri ammi ki ek aalim se dekhaiye to usne bataya ki jinnat ka sikayat hai ab use kya kare use pahle saitani harkat tha abhi o thik hone ke badh jinnat ki sikayat hai ab kya kare kuch bataye

    ReplyDelete
  2. Sabhi aamilo KA international organizations hona Chahiye jaha Se sahi wa galat KA sahi fatwa bhi jaati hona Chahiye maklooqk bahut pareshani hoti hai
    Aamilo KA muft ilaj karna Chahiye
    Jinhe fayada hota hai wo aamilo KA unka haq bina maage de koiki unka bhi ghar hota hai

    ReplyDelete
  3. Sabhi aamilo KA international organizations hona Chahiye jaha Se sahi wa galat KA sahi fatwa bhi jaati hona Chahiye maklooqk bahut pareshani hoti hai
    Aamilo KA muft ilaj karna Chahiye
    Jinhe fayada hota hai wo aamilo KA unka haq bina maage de koiki unka bhi ghar hota hai

    ReplyDelete
  4. Kya padhayi per jaadu ho sakta hai

    ReplyDelete
  5. Kya padhayi per jaadu ho sakta hai

    ReplyDelete